Why should I grow up?
Bachpan mein sapno ki udaan bhrte hai hum sab
Par zindagi ki hakeekat samajh ke tham jaate hai
Patang ki tarah udte to hai bhut
Par dor kachi smjh k tut jaate hai
Aaj ki khushiyo ko kal par kyu sop dete hai
Dil ki awaaz ko kyu hamesha rok dete hai
Nanhi Muskaan se kab itne bade ho jaate hai ki
Apne aap k astitva ko hi paiso k liye bech dete hai
Kyu na bhagti zindagi mein do pal k lie khud ko rokte
Kyu na bchpn ki trh nye nye sapno ko ropte
Thhandi padi zindagi mei kyu na kuchh nya khojte
Kyu na dusro ki Khushi mein apna sapna sochte
Kabhi Kabhi manzil ki raah p nahi chlte hum.
Raaho mein chlte hue manzil mil jaati hai.
Kabhi so metre chlvati hai to kbhi zindagi bhar ka safar dikha jaati hai
Par manzil dhundhte hue raahe mat bhatak jaana
Aaane vale kal ka sochte hue aaj ki khushiya mat bhool jaana